Friday, February 14, 2025

Aaradhana Teri Ho (Endhan Kanmalai) Meri chattan tu hai Prabhu

 Verse 1 :

Meri chattan tu hai Prabhu
Meri raksha karne wala
Parakrami Parmeshwar
Mahima ke yogya hai tu

Chorus :
Aaradhna teri ho, aradhna teri ho
Aaradhna teri ho, aradhna teri ho

Verse 2 :
Apne pankho tale mujhko
Sada tune aanandit rakha
Pavitra Prabhu mera sahayak
Stuti ke yogya hai tu

Verse 3 :
Mere nirbal ke samay main
Apna anugrah mujhko diya
Yeshu raja tu bal mera
Ab main nahi darunga

Verse 4 :
Mere jeevan bhar main sada
Teri prashansha karta rahunga
Yeshu teri bhalayio ko
Gin gin kar stuti karunga

No comments: