Sunday, February 16, 2025

Kaisa PITA ka pyaar hai - Hindi Christian Lyrics

 Kaisa PITA ka pyaar hai

Napayi se hai yeh apaar
Ek lauta beta dekar hai
Mujh neech ka kiya uddhar
* 2

Kitna bada woh dard tha
PITA bhi jo muh pher liye
Har ghaav jo YESHU ne saha
Laya santaan mahimaa ke

Dekho use jo kroos par
Kaandho par uske mera paap
Laaj bhari meri awaaz
Tiraskari dushton ke saath

Jakde use tha mera paap
Jab tak haasil na hua uddhar
Meri jaan layi bujhti saans
Mai jaanu kaam hua samapth

Ghamand mera kuch bhi nahi
Na taufe bal ya buddhi mein
Garv karun sirf YESHU ke
Mrityu Punaruthaan mein

Kyun paun main uska inaam
Iska koi uttar nahi
Par samjhe mere dilo-jaan
Un gaavo ne chukaaya hai daam
* 2

No comments: