Tuney pura kiya apna wadah Khuda
Apna iklota Beta hume baksh dia
Tuney pyar kiya uski ki inteha
Beta humko dia kiya khud se juda
Tuney pura kiya apna wadah Khuda
Hai Pedaish Maseeha ajab haan Teri
Paak daaman kanwari bani Maa Teri
Sakht sardi k Din aur jagah Bhi nahi
Ik tabeley ma paida hua baadshah
Tuney pura kiya apna wadah Khuda
Usky kaandhey pe ha ye saari saltanat
Aur usee hi ki ha ye saari abdiyat
Yesu shahzada ha amn-o-araam ka
Wohi sbko rakhega salamat sada
Tuney pura kiya apna wadah Khuda
Alfa Omega Ibteda Inteha
Wohi Awal aur Akhir Wohi ha Khuda
Aao sajda Karain usi k charnon ma
Wo najaat dahinda wohi rehnuma
Tuney pura kiya apna wadah Khuda
Apna iklota Beta hume baksh dia
Tuney pyar kiya uski ki inteha
Beta humko dia kiya khud se juda
Tuney pura kiya apna wadah Khuda
No comments:
Post a Comment