Khrist YESHU dayalu PRABHU
Tu hi hai sirjanhaar
Hum sab gaate hallelujah
Tu hi hai taaranhaar
Janam tu ne jagat mein liya
Kangaal gher mein jeevan bitaya
Sankat kasht tune uthaya
Kiya humara udhaar
YESHU pyare
Kiya humara udhaar * 3
Jeevan naiyya khatre mein jab thi
aandhiyon se jab dag-maga-ti thi
Aagya de kar aandhi thama di
Beda kiya tune paar
YESHU pyare
Beda kiya tune pyaar * 3
Paap ka rogi main jeevan bhar tha
Yatn bhi karta par kuch na banta tha
YESHU tera jab vastra chua tab
Changa hua ye beemar
YESHU pyare
Changa hua ye beemar * 3
No comments:
Post a Comment