Chorus :
Khamosh raato ki thandi hawao se
Aayi farishto ki mithi aawaz *2
Paida hua paida hua * 4
Mukti data humara paida hua
Taran hara hamara paida hua *2
Verse 1 :
Farishte ne aake zami pe
Gadariyo ko diya ishara
Paida hua hai munji jo
Milega tumhe goushala *2
Charwaho ne bhi usko sajda kiya *2
Verse 2 :
Dekho wo purab disha se
Aye the tare ke piche
Majusi bhi sar ko jhukate
Shikshak YESHU ko hi maane *2
Buddhi-mano ne bhi usko sajda kiya *2
No comments:
Post a Comment