Tuesday, September 27, 2022

Bhawar ke beech me Tu kehta.hai tham ja


Bhawar ke beech me Tu kehta.hai tham ja

Tu.meri taakat hai
Tu hi mera imaan

Beete kal me Tu Saath mere tha
Aaj bhi mere Saath hai khada
Aane wale kal me bhi hoga

Uthte hue uffano mein Tu hi meri Chattan
Badhti hui lehron pe Tere kadmo ke nishaan

Bimariyon mein Tu kehta hai uth ja
Yehovah Raafa Tu hi meri shifa

Aate mere khilaaf jab shatru ke jalte teer
Ya jab dushman le aata mujhko baandhne zanjeer

Tu dhal bankar meri karta har ek teer tabah
Tere naam se hi ho jata har ek zanjeer ka nash

Mahamari, jaadu-tona ya jo kuch bhi duniya me ho
Mujhe chhu bhi sake mere paas bhi aaye
Jab Tu hai toh anhona maine dekha parkha jaan liya, Tujhko maine apna maan liya

Tere hote hue mujhe aanch bhi aaye, Aisa hone na de Tune thaan liya

Imaan bhi Tu Chattan bhi Tu
Mera dil aur meri jaan bhi Tu

Tune de di jo jeet mujhe, us jashn ka ailaan bhi Tu
Main gaaunga chillaunga, ji bhar ke khushi manaunga

No comments: