Wednesday, September 14, 2022

Samarth Hai -Kaise pahunche hum?

Kaise pahunche hum?
Kya koi raah hai?
Paap mein doobein
Khuda to paak hai - 2

Is gulaami se Kaun hai
Jo humein azaad kare?
Yeh dil hai uski talaash mein

Samarth hai tere lahu mein
Paapon ko mitaa sake
Bandhanon se chudaake
kar de nayaa - 2

Sooli par apni jaan di
ki pyaar ka woh paigaam hai
Khuda woh sabka ek
Yeshu Masih uska naam hai
Swarg chodke dharti pe aaya
usne apni jaan di
Pyaar aur kshama ke
badle mile use apmaan hi
Sankat, dukh, kleshon ke
liye usne khaae kode
paapon se mukti dilayi
bandhan saare tode
ajooba hai, karishma woh
insaniyat hui hairaan
Shaitaan ki sena dar gayi
kyonki haar gaa shaitaan

samarth Tere lahu mein
woh samarth hai yahan
ki shaitan tu bhi sun le
ki zinda hai Khuda - 4

Samarth hai tere lahu mein
Paapon ko mitaa sake
Bandhanon se chudaake kar de nayaa - 2

No comments: